Wednesday, September 19, 2007


Ek mod aaya tha zindagi mein
Mohabbat jab huee thee mujhey
Saath choot gaya kuch pal mein phir
Tanhaai rah gayee saath mere

Waqt beeta, zakhm bhar gaya judaai ka
Zindagi sey samjhauta kar liya meiney
Ek haseen khwaab raat ki neend mein samajhkar
Doosra sawera dekh liya meiney

Phir ek hawa ka jhonka aaya
Le aaya saath usey…
Zindagi mein roshni si huee
Tanhai khatam si lagney lagi

Wohi hansi, wohi chehak, wohi pyaar uski nazron mein tha
Wohi kasak, wohi tadap, wohi dard mereliye aaj bhi tha

Mein bhi chup tha, who bhi chup thi
Dil mein magar dono key baat wohi thi
Kuch na keh saka, baat hothon pey thee
Kuch na kar saka, kuch na kar saka

Bereham nikla hawa ka jhonkan
Voh jhonka na tha ek zarra tha
Kuch pal ki hansi thi, kuch pal ki khushi thi
Baad mein uskey phir wohi gam tha

Waqt aur haalat ney phir cheen liye usey mujhsey
Saath rah gaya wohi bereham sannata, wohi beraham tanhai